"Zindgi ke safar ko lafzo mein piroya hai"zindgi ke safar ko lafzo mein piroya haiApni har gazal ko dard mein bhigoya haiPlz aaj wah wah na kehnaKyun ki aaj fir ye dil kisi ki yaad mein roya hai
Zara Si Der Ko Aaye TheZara si der ko aaye thZara si der ko aaye the khwab aankhon meinPhir us ke baad musalsal azaab aankhon meinWo jis ke naam kee nisbat se roshni tha wuzoodKhatak raha hai wohi aaftaab aankhon meinJinhe mata-e-dil-o-jaan samajh rahe the humWo aaine bhi hue behijaab aankhon meinAjab tarah ka hai mausam ki khak udti haiWo din bhi the ki khile the gulab aankhon meinMere ghazal teri wahshaton kee khair, ki haiBahut dino se bahut iztaraab aankhon meinNa jaane kaisi qayamat ka peshkhema haiYe uljhanein teri be-intasaab aankhon mein
Shaam-e-Wada SahiShaam-e-wada sahi, dukh zyada hi sahi, phir bhi dekho 'faraz'Aaj shab, us ki furqat mein keh lo ghazal, kal usay dekhna